Android Phone Ko Root Kaise Kare Simple Tarike Se Without Pc
Aaj is Post Me Aapko Batayege Ki Apne Android Phone Ko Root Kaise Kare Simple Tarike Se Wobhi Bina Computer Se Yani Without Pc
1.ROOT KYA HE
Bahut se log abhi tak ye nahi jante ki android root kya hai aur iske kya fayde hai, to dosto me aapko batane ja raha hu android root kya hota hai.
Android ko root karna koi badi baad nahi hai aap aasani se kuch minute me ye kar sakte hai, aapke android ko root karne ke baad android ke poore system ko access kar sakte hai. Kuch apps aise hote hai jinko use tabhi kiya ja sakta hai jab aapko android phone rooted ho.
Android ko root karne ke baad aapke phone ko poori tarah se access karke kuch bhi kar sakte hai sabkuch aapke hath me hota hai, agar aapka phone rooted nahi hai to kuch aise usefull aur badiya app hai jo sirf rooted phone me hi kaam karte hai unka upyog aap nahi kar paoge, kyoki sabhi operating systems ki ek secure privacy hoti hai aur wo phone ko kai chije use karne ki permission nahi dete hai.2.Android Ko Root Karne Ke Fayde:
Apne android phone ko root karne ke baad aap phone se bloatware ko
remove kar sakte hai jo phone ke sath aati hai, app permission manager
ko control kar sakte ho, firewall run kara sakte ho, agar aapka carrier
block kar raha hai to bhi aap tethering enable kar sakte ho, install
kiye huye apps ki settings ka manually backup bana sakte ho, aur aise
bahut se tweaks ko use kar sakte ho jo low level system access mangti
hai.
Aise apps jo root access mangte hai unko dundne me jyada problem nahi
aati aise kai apps aapko google play store par mil jayenge jo root
access mangte hai, in apps ko use karne ke liye aapko sirf apne phone ko
root karna hoga.
3.ROOT KRNE KE NUKSAN:
Android already rooted nahi aata aur android rooting ek official feature
nahi hai, android root phone ke boot-loader ko unlock karta hai, system
ke partition ko modify karta hai, aap custom ROM bhi install kar sakte
ho jo ki official supported nahi hai.
Security - android phone rooting apps ke normal security sandbox ko todta hai, kuch apps root ka galat fayda utha sakte hai.
Warranty - kuch manufactures kahte hai rooting aapke phone ki
warranty khatam kar dega, lekin actually me rooting aapke phone ke
hardware ko damage nahi karta hai.
Bricking - Waise to rooting ek safe process hai fir bhi ye sab
aapko apni risk pe karna hota hai, agar phone ke sath kuch galat hota
hai to aap free warranty service ka bhi fayda nahi utha sakte.
NOTE=
Agar aapko ye thoda ajib lage to pahle thoda research kar le ki jo tool
aap apne phone ko root karne ke liye use karne ja rahe ho uske baare me
dusre log kya report karte hai,
Android Phone Ko Root Kaise Kare - WITHOUT PC
- Android phone ko root karne ke lie market me bahot se Android applications ghum rahe hai.lekin jo sab se best hai mai uske bare me hi batane wala hu.
- Apne Phone Se Root karna bahut hi simple hai.iske lie sab se pehle aapko KingRoot naam ki ek application apne mobile me install karni hogi.KingRoot ko aap Google Playstore Ya Yaha Se Direct Download Kar sakte hai.---DOWNLOAD KARE.
- Agar aap apne phone ko Root karna chahte hai toh fatafat KingRoot Application download kar le.
- Download karne ke baad usse install kar dijiye fir Open kare.
- Open karne ke baad aapko ROOT likha hua dikhai dega.Uss ROOT option par click kare.
- ROOT par Tap karte hi aapke phone ki rooting process start ho jayegi.Jo percentage % ke roop me dikhai dega.
- Process complete ho jane ke baad aapka mobile root ho chuka hoga.
- ROOT success hua ke nahi ye jane ke lie aap ROOT Checker App install kar lijiye.Ye App aapko batayega ki aapka mobile root hua hai ke nahi.
Post accha lage to share aur comment jarur karna jis se future me hum aapke liye aur bhi badiya post likhe or aise hi aapki help karte rahe.
Tags
Android hacks