Android Phone Ki Screen Kaise Record Kare

Kuch din pehle mobile phone ki screen record  karna impossible tha but aaj ye possible hai aur ye bahot aasan hai aapko bus kuch hi moments lagenge ek beautiful video tutorial bana ne ke liye. Screen recording means aap aapne phone me jo kam kar rahe ho use aap record kar sakte hai video formate me.  Suppose aapko koi tutorial banana  hai aur us ke liye phone ki screen record karni hai toh ye tutorial aapke liye helpful rahega.  Jaise hum aapne phone me screen capture karte hai waise hi hum kuch App ki madat se screencasting kar sakte hai.  Agar hum koi video record karte hai toh use screen casting bolte hai. Screencating ke liye bahot sare apps available hai usme sehi ek app ke bare me aaj mai aapko batane wala hu so don’t stop reading.

Android Phone Ki Screen Record Kare SCR Recorder App Ki Madat se

Android ki screen record karne ke liye SCR ek simple App hai.  Is aap ki madat se hum 3 minutes ka video record kar sakte hai.  Agar ye application aapko aapne phone me install karna hai, toh aapka phone root hona jaruri hai aur  aapke phone ka version KitKat 4.4 ya us se latest hona jaruri hai. Ye application open karne ke bad koi special window nahi khulega sirf iske tin icon aapko dikhege.
Requirements :-
  • One Rooted Android Phone
  • SCR Application
Is App ko use kaise karte hai is ke liye niche kuch steps diye hai aap use follow kar sakte hai.

Step 1 :-  Pehle aapne phone me SCR Applicaton download karke install kare. Ye application play store me available nahi hai aap use yaha click karke Download kare.
Step 2:-  App install karne ke bad use open kare fir ek popup window open hoga.

Step 3:- Popup window par ek red color ka icon dikhega us par tap kare tap karte  hi recording chalu ho jayegi.

Step 4:-  Recording stop karne ke liye notification panel view kare, aur recording par tap kare. Ab record kiya hua video aapke phone me save ho jayega.

Is tarah aap app Android phone me video bana sakte hai. I Hope aapko ye tutorial pasand aaya hoga pasand aaya toh share karna na bhule.

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form